Wasi shah ghazals | Urdu SMS poetry and Romantic Shahyari
Welcome to the largest collection of wasi shah poetry, here we have latest collection of wasi shahpoetry sms , ghazals and love romantic poetry by wasi shah. Wasi shah is one of the Pakistan top start urdu poet who has love poetry collection.
HUMKO loota ha usi shehr ne ay jan e wafa,
HUMKO loota ha usi shehr ne ay jan e wafa,
JIS ki galion men mohabat ka kuch hisab na tha,
WOH jo rehtay they mere sath hamesha din bhar,
UN K mazhab men wafaon ka koi baab na tha,
WO jo ankhon mein mohabat ko liye phirtay they,
UN K dil mein thee woh nafrat ke kuch hisab na tha,
MAIN ne jisko bhi museebat men maseeha jana,
JO dia usne bara us se kuch azaab na tha,
MUJHY khyal tha yeh log to mere apne hein WASI:
MAGAR wahan pe to aisa koi rewaj na tha.
Magar nazron k taqazay badalney mein dair kahan lagti hay
Khaas they kabhi nazroon mein kisi k hum bhi shayad
WASI
Magar nazron k taqazay badalney mein dair kahan lagti hay.
tumhari yad ne mehka diya jala be diya
Sulag rahi hain agerbatiyan si mujh main
WASI?
tumhari yad ne mehka diya jala be diya.
Tum meri aankh ke tevar na bhula paoge
Tum meri aankh ke tevar na bhula paoge
ankahi baat ko samajhoge to yaad aaunga
hum ne khushiyon ke tarah dukh bhi ikatthe dekhe
safah-e-zist ko palatoge to yaad aaunga
isi andaz mein hote the mukhatib mujh se
khat kisi aur ko likhoge to yaad aaunga
sard raton ke mahakate hue sannaton mein
jab kisi phul ko chumoge to yaad aaunga
ab tere ashk main honton se chura leta hun
hath se khud inhen ponchoge to yaad aaunga
shal pahanayega ab kon disambar mein tumhen
barishon mein kabhi bhigoge to yaad aaunga
aj tum mahafil-e-yaran pe ho magarur bahut
jab kabhi toot ke bikharoge to yaad aaunga
hadase aayenge jivan mein to tum hoke nidhal
kisi divar ko thamoge to yaad aaunga
is mein shamil hai meri bakht ke tariki bhi
tum siyah rang jo pahanoge to yaad aaunga
Us se kaho kuch raaz hain mere seene mein
Us se kaho kuch raaz hain mere seene mein,
Din kam hain mere jeene mein,
Ab keh do jo tra irada ha
Mujhe dhere dhere kehne do,
Tere dil mein mujh ko rehne do,
Meri bujhal palkain kehti hain,
Ye tujh ko takti rehti hain,
Main sub kuch khona chahta hon,
Bus tera hona chahta hon,
Ajeeb khawahish mein kho jaon,
Teri Godh mein so jaon,
Phir na loot k aaon ga,
Na tujh ko kabhi sataon ga,
Ye mera tujh se wada ha,
Ab keh do jo tra irada ha.?’
Is qadar toot kay tum par humey pyar ata hai,
Is qadar toot kay tum par humey pyar ata hai,
Apni bahon me bharien mar hi dalien tum ko..
Na tumhey hosh rahey or na mujhey hosh rahey,
Is qadar toot kay chaho mujhey pagal kar do..
Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah
Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah
Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,
Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi”
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah
Ajeeb saanehaa guzraa hai mujh pe aaj ki sham,
Ajeeb saanehaa guzraa hai mujh pe aaj ki sham,
Main aaj shaam tumhare hijar main udaas na tha,
Ab aik saal to yeh aik gham hi kaafi hai,
Tumhari salgiraah par bhi tumhare paas na tha..
“apne ehsas se mujhe sandal kar do”
“apne ehsas se mujhe sandal kar do”
main sadiyon se adura hoon mukamal kar do
na tumhain hosh rahay aur na mujay hosh rahay
is kadar tooot ke cahoo mujay pagal kar doo
tum hatehli ko mere pyaar ki mehndi se rango
apni ankhon main mere NAAM ka KAJAL kar doo
is ke saye main mere khowab dekh uthain gaay
mere cahre peh cahmakata howa anchal kar do
dhoop he dhoop hoon main toot ke barso mujh par
is kadar barsoo meri roooh main jaaal thal kar doo
jaysay sehraoon main har saam howa cahlti hai
is tahrah mujh main cahlo aur mujay thal kar doo
tum chupa lo mera dil-e-awat main apne Dil ki
aur mujay meri nigaoon se bhi aojal kar do
maslah hoon to nigain na charoo mujh se
apni chahat se toja se mujhay hal kar do
apne gum se kaho har wakat mere saath rahay
aik ahsaan karo is ko musalsal kar doo
mujh peh cahaa jaoo kisi aaag ki sorat janaaan
aur meri zaaat ko sookha howa jangal kar doo
I am Fayyaz Sidhu, a Computer Science graduate from Punjab University, bringing over 12 years of expertise in blogging, content writing, and SEO. With a passion for exploring the world through information, I am dedicated to providing a fresh and exceptional user experience on my diverse website. Regular updates ensure dynamic content across various niches, making it an enriching platform for all visitors. Welcome to a space where knowledge meets innovation.