Urdu Top Ghazal SMS Collection

Urdu Ghazal SMS Romantic and love Ghazals
Latest Top Love, Sad Urdu Ghazals 2021

Latest Top Love, Sad Urdu Ghazals 2021, zindagi sad shayari 2 line urdu, zindagi urdu shayari in hindi, zindagi sad shayari Urdu, Life poetry urdu sms, zindagi love poetry in urdu, zindagi kya hai shayari in urdu and latest 2021-22 Zindagi poetry in urdu 2 lines sms nby donpk.com.

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ki kinara dy do,

Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,

Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do,

Mery aangan my aj andhera ha bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,

Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do….!

Yad aon to bas itni si inayat karna,
Apnay badlay howay lahjay ki wazahat karna,

Tum to chahat ka shahkar howa karte they,
Kis se seekha ulfat main milawat karna,

Hum sazaon k haqdar baney hain kab se?
Tum hi kah do kya jurm hai pyar karna?

Teri furqat main ye ankhain ab tak nam hain,
Kabhi aana meray ashkon ki zyarat karna,

Dil main ab bhi hain pyar k diye roshan,
Dekh bholay nahi hum teri hasti ki ibadat karna!

Ab kia likhain hm kaghaz par
Ab likhne ko kia baki ha,

ik dil tha so wo toot gya
ab tootne ko kia baki hay,

ik shakhs ko hm ne chaha tha
ik rait pr naksh banaya tha,

wo naksh kahan ab baki ha
ab kia likhain hm kaghaz par
ab likhne ko kia baki ha,

wo jin ko ham apni nazmo ka
unwan bnaya krte thay

lafzon ka banaa kar taj mahal
kaghaz par sajaya kerte the

wo shakhs jo hum ko chorr gya
sab rishton se mun mor gaya

ab kia likhain hum kaghaz par
ab likhne ko kia baki hay
ik dil tha so wo toot gya
ab tootne ko kia baki ha

Qisa-e-hijar agar tujh ko sunany lag jaiyen

Jaan-e-jaan umar nahien is mein zamany lag jaiyen

Main ny is khouf sy gham tujh sy chupaye apny

Mery Aansu teri Aankhon sy na Aany lag jaiyen

Kaash aisa ho kabhi main kuch na kahoon tujh sy

Meri Aankhein mery ehwaal batany lag jaiyen

Rat-jagy khilny lagy phir sy meri neendon mein

Rog mujh ko na kahien phir sy purany lag jaiyen

Aisy Aalam mein tujhy bhoolna mumkin hai k jab

Saary mousam hi teri yaad dilany lag jaiyen

Ay dil-e-ishaq zada tujh sy shikayet kesi

Jab mery khawab hi khud mujh ko jalany lag jaiyen

Haan mujhy naaz hai Aashufta sari py apni

Raah dekhoon ga bhaly tujh ko zamany lag jaiyen.

Sheher JamaL Ke Khas O Kha-Shaak Ho Gae
Ab Aaye Ho Jab Aag Hai Hum Khaak Ho Gae

Hum Se Farog-E-Khaak Na Zebaii Aab Kii
Ka’ee Kii Tarah Tohmat-E-Poshak Ho Gae

Peerahan-E-Saba Tu Kisi Tor SiL Gaya
Daman-E-Sad Bahaar Magar Chaak Ho Gae

Aey Abr-E-Khas! Hum Pe Ab Barasne Ka KhayaL
JaL Kar Tere Firaak Me Jab Raakh Ho Gae

Qaim Thay Apne Ahad Pe Yeh Deedah Haaye Ghum
Kia Yaad Aa Gaya Hai Keh Nam-Naak Ho Gae

Ab Tak Junoo’n Hii Apna Asasa Raha Gar
Tujh Se MiLe Sahib-E-Adraak Ho Gae

Khushbu Toh Ban Na Paaye So Kuch Hum Se Be-Hunar
Aey Mauj-E-Saba Tere Pe-Chaak Ho Gae . . . */

Aisa nahi k humko mohabat nahi mili,
Haan jesay chahtey thay wo qurbat nahi mili,

Milnay ko zindagi mai kayi humsafar milay,
Lekin tabiyatton say tabiyatt nahi mili,

Chehron kay har hajoom mein hum dhondtay rahey,
Surat nahi mili tu kahin seerat nahi mili,

Wo yak-ba-yak mila to bohat dair tak hamien,
Alfaaz dhoöndnay ki bhi mohlat nahi mili,

Har shakhs zindgi mai bohat dair se mila,
koi bhi cheez hasb-e-zaroorat nahi mili.

Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi
Ke dhoop chayon ka alam raha,judaai na thi

Na apna ranj na auron ka dukh,na tera malal
Shab`e firaq kabhi hum nay yun ganwayi na thi

Mohabbaton ka safar is tarha bhi guzra tha
Shikasta dil thay musaafir shikasta paayi na thi

Adawatein thin,taghaful tha,ranjishein thin
Bicharhnay walay main sab kuch tha,bewafaayi na thi

Bicharhtay waqt un aankhon main thi humari ghazal
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi

Kisay pukaar raha tha wo doobta howa din ?
Sadaa tiu aayi laikin koi duhaayi na thi

Kabhi yeh haal keh donon main yakdili thi bohat
Kabhi yeh marhala jaisay keh ashnayi na thi

Ajeeb hoti hay rah`e sukhan bhi dekh naseer
Wahan bhi aa gaye akhir jahan rasayi na thi

Aye Raat Sony Dy Youn Tang Na Kia Kr,,
Bekaar Sawalon Main Paband Na Kia Kr_,,

Iss Ke Siwa Aur Bhi Zamany Ke Kaam Hain,,
Tu Mere Khayalat Be_Dhang Na Kia Kr_,,

Dunia Main Aur Log Bhi Basty Hain Tanha,,
Tu Sirf Mere Sath Hi Jang Na Kia Kr_,,

Aey Raat Sony Dy Youn Tang Na kia kr_,,
Mazboot hon, pr itni bhee nahi hon,,

Dunia ke sabhi gham to mere sang na kia kr_,,
Aey Raat Sony Dy,, Youn Tang Na Kiya Kar..

Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila

Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila

Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat

Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila

Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor

Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila

Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka

K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila

Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main

Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila

Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia

Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila 

aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina,
Yaad KaRNa bhi usey roo, bhula bhi daina,

Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat is ki,
Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina,

Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin,
Murr k daikhon to palatnay ki dua bhi KaRNa,

Khat bhi likhna usay, mayoos bhi rahna us say,
Jurm KaRNa bhi magar khud ko saza bhi daina,

Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara laikin,
Jee main ayai to yeh diwar gira bhi daina,

Soorat-e-naqsh-e-qadatm, dasht main rehna,
Apnay honay say na honay ka pata bhi daina 

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here