Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye
Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye,
Tujhe bewafa kahoon mein, woh maqaam aa na jaye,
Jisey sun ke toot jaye mera aarzu bhara dil,
Teri anjuman se mujh ko woh peyaam aa na jaye,
Woh jo manzilon per laa kar kisi hamsafar ko lootain,
Unhi rehzanon mein tera kahin naam aa na jaye,
Isi fikr mein hain ghalat yeh nizaam ke bandey,
Jo tamaam zindagi hai woh nizaam aa na jaye..
Yeh aur baat teri gali main na ayen hum
Yeh aur baat teri gali main na ayen hum,
Lekin yeh kya ke tera sheher chorr jayen hum,
Muddat huyi hai kuye bataan ki taraf gaye,
Awaargi se dil ko kahan tak bachaayen hum,
Be’noor ho chuki hai bohat sheher ki fizaa,
Tareek raston par kahin kho na jayen hum,
Us ke baghair aaj bohat jee udaas hai,
Jaalib chalo kahin se usey dhoond ke layen hum..
woh bhi kaif nie takhta e dar se
woh bhi kaif nie takhta e dar se
Mein bhi mansoor hun kh do aaghiyar se
kyn drate ho zindaan ki diwar se
zulm ki raat ko jahal ki baat ko
mein nie manta mein nie janta
tum ne loota hai sadiyoon humara sakoon
ab na hum pr chle ga humara fasoon
chara gar mein tumhein kis tarh se kahoon
mein nie manta mein nie janta
deep jis ka muhalaat main hi jale
chand logon ki khushion ko le kr chale
woh jo saye ke her muslahat main pale
aise dustoor ko subah e benoor ko
mein nie manta mein nie janta
Ye aur baat teri gali mein na aayen hum
Ye aur baat teri gali mein na aayen hum
lekin ye kya ki shahar tera chod jayen hum
muddat hui hai ku-e-butan ke taraf gaye
aavaragi se dil ko kahan tak bachayen hum
shayad baqaid-e-zist ye saat na aa sake
tum dastan-e-shauq suno aur sunayen hum
benur ho chuki hai bahut shahar ke faza
tarik raston mein kaheen kho na jayen hum
us ke bagair aj bahut jee udas hai
‘jalib’ chalo kaheen se use dhundh layen hum
Is shahar-e-kharabi mein gam-e-ishq ke mare
Is shahar-e-kharabi mein gam-e-ishq ke mare
zinda hain yahi baat badi baat hai pyare
ye hansata hua chand ye purnur sitare
tabinda-o-painda hain zarron ke sahare
hasrat hai koi guncha hamen pyar se dekhe
araman hai koi phul hamen dil se pukare
har subah meri subah pe roti rahi shabanam
har raat meri raat pe hanste rahe tare
kuch aur bhi hain kam hamen ae gam-e-janan
kab tak koi ulajhi hui zulfon ko sanvare
Dil ke bat labon par lakar ab tak hum dukh sahate hain
Dil ke bat labon par lakar ab tak hum dukh sahate hain
hum ne suna tha is basti mein dil wale bhi rehte hain
bit gaya savan ka mahina mausam ne nazaren badali
lekin in pyasi aankhon mein ab tak aansu behte hain
ek hamen aawara kahana koi bada ilzam nahi
duniya wale dil valon ko aur bahut kuch kahate hain
jis ke khatir shahar bhi choda jis ke liye badnam hue
aj wohi hum se begane begane se rehte hain
wo jo abhi rahguzar se chak-e-gareban guzra tha
us aawara divane ko ‘jalib’-‘jalib’ kahate hain