Meer Taqi meer is the leading Urdu Poet and his real name is Muhammad Taqi. He is famous as of his pen name as Mir and Meer Taqi Meer. Mir Taqi Meer is 18th Century Poet of Urdu of subcontinent. He started his poetry through Delhi schools of Urdu Ghazals and has a well named in Urdu Poetry.
Donpk.com is sharing Mir Taqi Meer Best Urdu Poetry, Mir Taqi Mir Poetry, Urdu Poetry sms, Best Urdu Poetry 2013, urdu ghazals sms, Latest urdu Sms, urdu Shayari sms, Latest Sad Poetry Meer taqi Meer , Sad Poerty Collection and Your best Choice urdu ghazals and so on.
Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,
Jaan ka rog hai, bala hai ishq.
Ishq hi ishq hai jahaan dekho,
Saare aalam mein bhar raha hai ishq.
Ishq maashuq ishq aashiq hai,
Yaani apna hi mubtala hai ishq.
Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen,
Kahin banda kahin Khuda hai ishq.
Kaun maqsad ko ishq bin pohuncha,
Aarzoo ishq wa mudda hai ishq.
Koi khwaahan nahin mahabbat ka,
Tu kahe jins-e-narawa hai ishq.
Mir ji zarad hote jaate hain,
Kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq..
a jayen ham nazar jo koi dam bahut hai yan
mohlat basan-e-barq-o-sharar kam bahut hai yan
yak lahza sina kobi se fursat hamein nahin
yani ki dil ke jane ka matam bahut hai yan
ham rah rawan-e-rah-e-fana der rah chuke
waqfa basan-e-subh koi dam bahut hai yan
hasil hai kya siwaye tarai ke dahar mein
uth asman tale se ke shabnam bahut hai yan
is butkade mein mani ka kis se karen sawal
adam nahin surat-e-adam bahur hai yan
ajaz-e-isawi se nahin bahs ishq mein
teri hi bat jan-e-mujassim bahut hai yan
mere hilak karne ka gam hai abas tumhen
tum shad zindagani karo gam bahut hai yan
shayad ke kam subh tak apana khinchena ?Mir?
ahawal aj sham se darham bahut hai yan
Sharminda hon ge, jaaney bhi do imtihaan ko,
Rakhe ga tum ko kon aziz, apni jaan se..
Yaro mujhe mu’af karo main nashe mein hun
ab do to jam khali hi do main nashe mein hun
mazur hun jo paon mere betarah pade
tum sar-garan to mujh se na ho main nashe mein hun
ya hathon hath lo mujhe jaise ke jam-e-may
ya thodi dur sath chalo main nashe mein hun
Yar bin talkh zindagani thi
dosti muddai-e-jani thi
sheb mein fayada ta’mmul ka
sochana tab tha hab javani thi
mere qisse se sab ke ninden gain
kuch ajab taur ke kahani thi
ku-e-qatil se bach ke nikala khizr
isi mein us ke zindagani thi
fitr par bhi tha ‘mir’ ke ik rang
kafani pahani to zafarani thi
Sher ke parde mein main ne gham sunaya hai bahut
marsiye ne dil ko mere bhi rulaya hai bahut
vadi-o-kohasar mein rota hun dhade mar-mar
dilbaran-e-shahar ne mujh ko sataya hai bahut
va nahi hota kisi se dil girifta ishq ka
zahira gam-gin use rahana khush aaya hai bahut
Shikwa Karun Main Kab Tak Us Apne Meharban Ka
Al-Qissa Rafta Rafta Dushman Hua Hai Jan Ka
Di Ag Rang-E-Gul Ne Wan Ai Saba Chaman Ko
Yan Ham Jale Qafas Mein Sun Hal Ashiyan Ka
Har Subah Mere Sar Par Ik Hadisa Naya Hai
Paiwand Ho Zamin Ka, Shewa Is Asaman Ka
Kam-Fursati Jahan K Majma Ki Kuch Na Pucho
Ahwal Kya Kahun Main, Is Majlis-E-Rawan Ka
Ya Roye, Ya Rulaye, Apni To Yun Hi Guzari
Kya Zikr Ham Safiran Yaran-E-Shadman Ka
Qaid-E-Qafas Mein Hain To Khidmat Hai Naligi Ki
Gulashan Mein The To Ham Ko Mansab Tha Rauzakhwan Ka
Pucho To ‘Meer’ Se Kya Koi Nazar Para Hai
Chehra Utar Raha Hai Kuch Aj Us Jawan Ka

I am Fayyaz Sidhu, a Computer Science graduate from Punjab University, bringing over 12 years of expertise in blogging, content writing, and SEO. With a passion for exploring the world through information, I am dedicated to providing a fresh and exceptional user experience on my diverse website. Regular updates ensure dynamic content across various niches, making it an enriching platform for all visitors. Welcome to a space where knowledge meets innovation.