Zahir Ki Ankh Se Na Tamasha Kare Koi
Ho Dekhna To Didah-e-Dil Wa Kare Koi
Mansoor Ko Huwa Lab-e-Goya Payam-e-Mout
Ab Kya Kisi Ke Ishq Ka Dawa Kare Koi
Ho Deed Ka Jo Shauq To Ankhon Ko Band Kar
Hai Dekhna Yehi Ke Na Dekha Kare Koi
Main Intihaye Ishq Hun, Tu Intihaye Husn
Dekhe Mujhe Ke Tujh Ko Tamasha Kare Koi
Uzr Afreen-e-Jurm- Hai Husn-e-Dost
Mehshar Mein Uzr Taza Na Paida Kare Koi
Chupti Nahin Hai Ye Nigah-e-Shauq Hum-Nasheen
Phir Aur Kis Tarah Unhain Dekha Kare Koi
Arh Baithe Kya Samajh Ke Bhala Toor Par Kaleem
Taqqat Ho Deed Ki To Taqaza Kare Koi
Nazare Ko Ye Junbish-e-Mazgan Bhi Bar Hai
Nargis Ki Ankh Se Tujhe Dekha Kare Koi
Khul Jaen, Kya Maze Hain Tamanaye Shauq Mein
Do Char Din Jo Meri Tamanna Kare Koi