AAL-E-MUHAMMAD Ka Koi Gham Nai Karte,
Hemat Hai To Mehshar Mein Kehna Pyare MUHAMMAD Se..
Ya Rasool ALLAH Hum Eid to Karty Hain Muharram Nahi Karty,
Mazloom Hi Mazloom Ko Roty Hain Jahan Mein..
Katil Kabhi Maqtool Ka Matam Nahi Karty….
Zom-e-kasrat tha jinhain sab wo hijazi nikle
Wo 72 they jo kirdar k ghazi nikle
Is haqiqat ko bhala kon chupa sakta hy
Jitne Shabbir ke qatil thy namazi nikle
Janat ki aarzu main
Kahan ja rahe hain log
Janat to Karbala main
Khareedi HUSSAIN ne
Duniya-o-Aakhrat main
Jo rehna ho chain se
Jeena ALI se seekho
Marna HUSSAIN se
Wafa ko naaz hai jis par usay Abbas (AS) kehte hein
Lagay jo Saani-e-Haider (AS) usay Abbas (AS) kehte hein
Alam patthar pe jo gaaray usay kehte hein sab Haider (AS)
Alam gaaray jo pani par usay Abbas (AS) kehte hein
Nazar gum hai nazaro ko badi takleef hoti hai
Baghair unke nazaro ko badi takleef hoti hai
Nabi kehte the ye aksar ke aksar Zikr-e-Haider se
Mere kuch jaan nisaro ko badi takleef hoti hai
Anjam-E-Wafa Kya Hy Ye Socha Nahi Karty,
Muslim kabhi Halaat Se Soda Nahi Karty,
Ye Rasm Sikhai Hy HUSSAIN IBN-ALI Ne,
Sir Sajdy Mein H0 To Teer0n Ki Parwah Nahi Karty…
Kon Kehta Hai, Ke Pani Ko Tarste They Hussain ?
Un Ke Honton Ko, Tarsta Raha Pyasa Pani,
Selaab Dekhta Hoon, Tu Aata Hai Ye ‘Kheyal’
Ke Pani Bhatak Raha Hai,
Talash-E-Huseen Mein…
Zehan ki diwar pe jab Karbala likha gaya,
Sajda-e-Shabir se Naam-e-Khuda likha gaya,
Kis qadar roya Madine men rida ka pasban,
Jab Ali ki Betiyon ko be-rida likha gaya,
Kaanpta hoga wajud-e-kainat-e-Kibriya,
Jab Hussain ibn-e-Ali be-aasra likha gaya,
Dasht k medan men jab pyaas ne Matam kiya,
Hurmila ka teer Asghar ka gala likha gaya,
Ho gae honge kharre tab ehtraman Panjtan,
Jab kbi Abbas k aage wafa lekha gia
Kab Tak Karo Gay War Hum Ali A.S Ke Chahne Walo Par,
Hum Ne Sikha Hai Shaheed Hona Apne Imamon Se,
Maut Se Darna Hum Haidariyon Ka Kam Nahi,
Ary Maut Se Wo Darta Hai Jis Ka Koi Imam Nahi,
SALAM YA HUSSAIN”A.S
Mohsin Isi Dua Sey Hy Aghaz-E-Subah,
Her Pal Ghum-E-HUSSAIN A.S Sey Ye Aankh Tar Rahey…
Ajab Shan Hy Hussain Tumhare Lashkar Ki,
Kahan Se Dhoondh K Lain Misaal ASGHAR Ki,
Sitara Ab Bhi Fajar Ka Udaas Hota Hy,
Sunai Deti Hy Ab Bhi Azaan Akber Ki….
Din Rota Hy Raat Roti Hy,
Har Momin Ki Zaat Roti Hy,
Jab Bhi Muharram Aata Hy,
Khuda Ki Qasam
Gham-e-HUSSAIN Mein
Saari Kainaat Roti Hy …
Saja rakhi thi dariya par ajab baraat pani ki
Bahut kerte the Ashrare yezidi baat pani ki
Magar sahil pe pahonche thokare mari chale aye
Bata di Hazrat-e-Abbas ne Auqaat pani ki.
Mana Ke Ye As’hab Aqeedat Ke Nishan The
Tasleem Kia Ahmed E Mursal Ki Ye Jaan The
Namoos E Sahaba Ke Khateebo Se Ye Poocho
Ye Log Muhammad (Saww) Ke Janazay Me Kaha The?
Zahra Aur Haider Jiska Jhoola Jholaaye,
Khatm-E-Mursal B Jske Naz Uthaaye
Khaali Sawaali Jiske Ghaar Say Na Jaye
Hal Min Ki Deta Hai Woh Bn Ma Sadaaye.
Yaa Hussainan Yaa Ghareebon Yaa Zabeehun Bekhata
Sajday Se Karbala Ko Bandagi Mil Gai
Sabar Se Ummat Ko Zindagi Mil Gai
Ek Chamman Fatima(S.A) Ka Ujra
Magar Sarey Islam Ko Zindagi Mil Gai
Janat Ki Aarzu Main
Kahan Ja Rahe Hain Log
Janat To Karbala Main
Khareedi Hussain Ny
Dunya-O-Aakhrat Main
Jo Rehna Ho Chain Sy
Jeena Ali Sy Seekho
Marna Hussain Sy
My Lips And The Heartily Whispers Of Ali Ya Ali,
How Can I Simply Condone?
When My Clay And Molding Stands To Tribute
My Unbounded Regards For The Father Of Sand. (Abu Turab)