Valentine day History| History of Valentines Day

Photo of author

By Fayyaz Sidhu

Valentines Day history in urdu

Origin  of Valentines Day

There are different stories relating to Valentine Day History.  Some one called it Good and some one wrong. Although all people have keen interest to find the origion of Valentines Day and History of Valentines Day.  Here on this page we are sharing you History of Valentine Day in  Urdu.  It is found in  the  third century of Rome. The Emperor of Rome   named Claudius II  thought that the  single man is so much suitable  and effective for  battle against enemy. Single man can  be use for best and with best  efforts in all ways   instead of those people who have   wives and Family responsibilities. Claudius  banned  the army   to  marry . 

Valentine Day History In Urdu

Saint Valentine who was the soldier of Army realized this injustice and start to marriage of young soldiers. But when emperor came to know this violated action of Valentine he ordered for Valentine’s death sentence at the Spot.  So February 14 is celebrated throughout the world for Valentine’s Day as Remember for his best act and surviving the nation.

Valentin’s day 14 February ko dunya bhar mein mana ya jata hai. Yeh din muhabbat karne walon ke liye buhat ahmiyat rakhta hai. Yeh muhabbat ke izhar ka din hai aur izhar ke liye flowers, cards aur chocolate ke gift ka tabadlah kia jata hai.

Tareekh mein is din se mutalliq do teen rawayaat samne aati hain.

270 A.D mein Roman Empire Claudius ne apne dor-e-hukumat mein foj par shadi karne ki pabandi aaid kardi. Us ka kheyal tha keh maidan e jang mein shaadi shudah fojiyon ki ba’nisbat ghir shadi shudah fojiyon ki kar kardagi ziadah behtar hoti hai. Saint Valentine ne is na insafi ko mehsoos kia aur khufyah tor par nojawanon ki shadyan karwani shuru kar dein. Jab yeh baat manzar e aam par aayi to Claudius ne Saint Valentine ke liye sazaye maut ka hukum de dia. Isi Saint Valentine ki yaad mein yeh din aaj bhi dunya bhar mein manaya jata hai.

Saint Valentine ko qaid mein rakha gia tha aur ise jelar ki beti se muhabbat ho gayi thi. Marne se pehle Saint Valentine ne apni muhabbat ka izhar aik khat mein kia tha. 14 February ko Saint Valentine ko sazaye maut day di gayi.

Muhabbat aur izhar muhabbat ke unwan se manaye jane wale din, Saint Valentine day ke moqay par yun to gift aur flowers ka tabadlah kia jata hai, mukhtalif mamalik mein baqaidah taqribaat ka bhi ahtamam kia jata hai, tahum rawaiti tqribaat ke sath sath kahin kahin yeh din anokhey aur bare hi dil chasp andaz se bhi manaya jata hai. Yeh din manane ke kuch munfarid andaz dekhye.

Japan mein Valentin’s Day ke moqe par sirf khawateen apne sathiyon ke liye chocolate khareedti hain. Yeh japan ki aik purani rawayat hai, jis mein khawateen apne mard sathiyon ke liye chocolate pesh karti hain. Is din kay theek 1 month ke baad white day ke naam se aik aur din manaya jata hai jis mein mard hazrat khawateen ko chocolate gift mein dete hain.

Danmark mein Valentin’s Day par aik dil chasp khel khela jata hai. Yeh chupa hua aashiq talash karne ka khel kehlata hai, jise moqami zuban mein Gaekkebrev kaha jata hai. Is khel mein larkiayan aur larke muhabbat ke unwan se nazmein likhte hain, lekin in nazmon par apna naam darj nahi karte balkeh noqte daal kar alamti signature kar dete hain, jin mein in ke naam poshidah hote hain. 

Maghrabi mamalik mein Valentin’s Day samaji bhalayi ke unwan se manane ka rawaj bhi paya jata hai. Infaradi aur ijtamayi satah par ghareeb, be sahara aur muashre ke pise huye afrad ko gift pesh kiye jate hain.

Yeh tehwar Pakistan men bhi, khasoosan big cities mein josh o kharosh se manaya jata hai, aur yeh karobari lehaz se bhi bari ahmiyat rakhta hai. Is din ki wajah se flowers ki farokht khasoosan red rose ki selling mein numayan izafah nazar aata hai. Is ke elawa tady bears, cards aur mukhtalif qisam ki chocolate ki frokht bhi barh jati hai. 

Is din ki wajah se kum aamdani wala tabqah bhi khushyan manata hai. Is din ki maqboolyat raftah raftah itni barh chuki hai keh shadi ke khuahish mand kayi jore is mahine mein khasoosan 14 February ko shadi karne ki aarzu rakhte hain, jis ki wajah se shadi halls ki advance booking karwani parti hai aur izafi raqam bhi kharch karni parti hai. Is mein koi shak nahi keh Valentin’s Day hamari moqami saqafat ka hissah nahi, lekin nojawan nasal mein is ki barhti huyi maqboolyat hum se is baat ka taqaza karti hai keh is din ke masbat pehlo ujagar kiye jayein. 

Leave a Comment