Parveen Shakir Ghazal In Urdu

Photo of author

By Fayyaz Sidhu

Parveen Shakir Ghazal and best poetry collection on donpk.com. Here we are sharing Parveen Shakir Poetry in Urdu and Shayari from her books which are very famous in Pakistan’s Urdu Poetry and Ghazal collection. Parveen Shakir’s top-selling books were  Inkar, Sad barg, pratinidhi Kavitayen, Talking to oneself and Khusbu, etc.  Parveen Shakir Shayari is one of the finest in Urdu top Poetry collection and will be remembered all time.

Read: Habib Jalib Ghazal Sms Collection

Download the best Urdu Poetry Collection of Parveen Shakir Ghazals and send these love poetry in Urdu to your dear ones. You must find a very deep sense of emotions by reading this Parveen Shakir Shayari in Urdu.

 

Parveen Shakir Sad poetry, shayari Sms in Urdu

Main Apni Dosti Ko Sheher Mein Ruswa Nhi Krti,

Main Apni Dosti Ko Sheher Mein Ruswa Nhi Krti,

Mohbt Main Bhi Krti Hoon Magar Charcha Nhi Krti,

Jo MuJ Se MiLne Aa Jaye Main Us Ki DiL Se Khadim Hoon,

Jo Utth K Jana Chahay Main Usey Roka Nhi Krti,

Jisey Main Chhor Deti Hoon Usey Phir BhooL Jati Hoon,

Phir Us Hasti Ki
Janib Main Kabhi Dekha Nhi Krti,

Tera Israar Sir Aankhon Pe K Tum Ko BhooL Jaon Main,

Main Koshish Kr K Dekhoon Gi Magar Waada Nhi Krti

 

Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Main Sayahi

“Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Main Sayahi…!”

“Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi…!”

“Na_Jane Kiun Sabhi Shak Karte Hain Mujh Par…!”

“Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Main Milta Hi Nahi…!”

“Kashish To Bohat Thi Mere Pyaar Main…!”

“Magar Kya Karoon Koi Pathar Dil Pighalta Hi Nahi.!

Agar Khuda Mile To Us Se Apna Pyaar Mangoon Ga.!

“Par Suna Hai Wo Marne Se Pehle Kisi Se Milta Nah

Parveen Shakir Ghazal and Sad poetry have very strong emotionally factor that goes to reality and daily practice matters which is the top secret of her success in best Urdu Poetry legends. 

Usay hum yad atay hey mgr furst k lmho may

Usay hum yad atay hey mgr furst k lmho may
Mgr ye bat b such hey usay furst nahi milti…(Ahmad Fraz)

Ye Hum Tasleem Karty Hain Humain Fursat Nahi Milti
Magar Ye Bhi Zara Socho Tumhain Jab Yaad Karty Hain Zamana Bhool Jaty Hain…

Parveen Shakir Ghazal In Urdu Poetrychehra mera tha nigahen us ki khamushi main bhi wo baten

chehra mera tha nigahen us ki khamushi main bhi wo baten

us ki mere chehre pe gazal likhti gain sher k

ahti hui ankhen us ki shokh lamhon ka

pata dene lagin tez hoti hui sansen us

ki aise mausam bhi guzare ham ne subhen jab apni thin shamain us

ki dhyan main us k ye

 

Marney se bhi pehle mar gaye they

Marney se bhi pehle mar gaye they,
Jeeney se kuch aese dar gaye they,

Rastey mein jahan talak diye they,
Saarey mere hamsafar gaye they,

Aankhain abhi khul nahin saki thi’n,
Aur khawb mere bikhar gaye they,

Jab tak na khila tha us ka waada,
Mausam mere be’samar gaye they,

Ab tak wohhi nasha e paziraayi*,
Kya jaaniye hum kidhar gaye they..

Parveen Shakir Poetry In Urdu

Rasta hi neya hai, na main anjaan bohat hoon

Rasta hi neya hai, na main anjaan bohat hoon,
Phir kuye’malaamat mein hoon, nadaan bohat hoon,

Ik umar jisey khawab ki manind hi dekha,
Chooney ko mila hai to pareshaan bohat hoon,

Mujh mein kabhi aahat ki tarah se koi aye,
Ik band gali ki tarah sunsaan bohat hoon,

Uljhen ke keyi baar abhi lafz se mafhoom,
Saada hai bohat woh, na main asaan bohat hoon..

Parveen Shakir Poetry In Urdu Best ShayariBadal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai

Badal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai,
Ke thaktaa ja raha hai humsafar ahistaa ahistaa..

Parveen Shakir Ghazal Poetry In Urdu

Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha

Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha
Wo Rang Rang Mein Utraa, Kiran Kiran Mein Raha

Wo Naam Haasil-e-Fun Ho Ke Mere Fun Mein Raha
Ke Rooh Ban Ke Meri Soch Ke Badan Mein Raha

Sakoon-e-Dil Ke Lye Mein Kahan Kahan Na Gayi
Magar Ye Dil, Ke Sadaa Oski Anjuman Mein Raha

Wo Sheher Waalon Ke Aagay Kaheen Mohazzib Tha
Wo Ek Shakhs Jo Sheheron Se Door Ban Mein Raha

Charaagh Bujhtay Rahay Aur Khwaab Jaltay Rahay
Ajeeb Tarz Ka Mausam Mere Watan Mein Raha

Theher Jaye, Magar Raat Katay

Theher Jaye, Magar Raat Katay
Koi Soorat Ho Ke Barsaat Katay

Khushbuuain Mujhko Qalam Karti Gayin
Shaakh Dar Shaakh Mere Haath Katay

Mouj-e-Gul Hai Ke Talwaar Koi
Darmiaan Se Hee Manajaat Katay

Harf Kiun Apne Ganwayein Jaa Kar
Baat Se Phele Jahan Baat Katay

Chaand ! Aa Mil Ke Manayein Ye Shab
Aaj Ki Raat Tere Saath Katay

Pooray Insaanon Mein Ghus Aayein Hain
Sar Katay, Jism Katay, Zaat Katay

Best Urdu Poetry Ghazals by Meer Taqi Meer

Categories SMS

Leave a Comment