Is Parcham Ke Saye Talay Hum Aik Hain lyrics By Nayyara Noor

Photo of author

By Fayyaz Sidhu

is parcham k saye tale hm aik hain in urdu

Downlaod mp3 Is Parcham Ke Saye Talay Hum Aik Hain and MP4 Is Parcham Ke Saye Talay Hum Aik Hain by Nayyara Noor Pakistan Milli Naghma for special days.

 Is Parcham Ke Saye Talay Hum Aik Hain  lyrics

Is parcham kay saye talay hum aik hain hum aik hain
Sanjhi apni khushyan aur gham aik hain hum aik hain

Is parcham kay saye talay hum aik hain hum aik hain

Aik chaman kay phul hain saray aik gagan kay taray
Aik samandar mein girtay hain sab daryaon kay dharay
Juda juda hain nehrain, sargam aik hain hum aik hain

Is parcham kay saye talay hum aik hain hum aik hain

Aik hi kashti kay hain musafir aik manzil kay rahi
Apni aan par mitnay walay hum janbaz sipahi
Band muthi ki surat ki bahum aik hain hum aik hain

Is parcham kay saye talay hum aik hain hum aik hain

Pak watan ki izzat hum ko apni jan say pyari
Apni shan hai in kay dam say yeh hai aan hamari
Apnay chaman mein phul aur shabnam aik hain
Is parcham kay saye talay hum aik hain hum aik hain

Sanjhi apni khushyan aur gham aik hain hum aik hain
Is parcham kay saye talay hum aik hain hum aik hain

Is parcham kay saye talay hum aik hain hum aik hain

Free download Mp3

Free download MP4

Leave a Comment